Wednesday, February 19, 2014

Chalakte Aansoon

kabhi khushi me 
to kabhi gum me
zindagi ke is tedhe medhe pal me
niklti hai mere dil ki aarzoo
lo phr aa gye aankhon se,ye chalakte aansoon......

jb kbi andheron me mujhe dar satata hai 
tb maa tera anchal hi yaad ata hai 
na paake apne paas tujhe 
chalak jatein hain meri aankhon se ye aansoon......

pehle pehal pyar me
jb lgta hai har pal nya 
jb hota hai ye dil khush mera 
un palon k baad jb ye bewafai apna rang dikhlati hai hai 
hota hai dard dil me ,aur aansuon ki ek nadi si beh jati hai
rokne ki koshish b bahut ki thi maine 
par lo phr aa gye aankhon se ye chalakte aansoon......

ek pal wo b ata hai 
jb band baje sath hote hai 
tb barbadi me meri puri duniya jashn manati hai 
kyun ki agle din se ,gulami ki zanzeere in jo pairon me aa jati hain
zindagi me lgta hai jaise kuch ab rha ni 
is baar apni barbadi pe thoda hans kr  
phr aa gye aankhon se,ye chalakte aansoon...... 

ye waqt kisi ki sunta nhi 
aage hi badhta jata hai 
jb choti si  jaan ek din aftaab se nikal  k ati hai
hanthon me leke usko mai,cine se use lgata hun 
us pal hoti hai jo khushi,use  bayan kar mai pata ni 
phr aa gye aankhon se, ye chalakte aansoon......

ek din aisa b ata hai 
jb chlna b mere bs me reh ni jata hai
un palon me, jb wo mera hanth pkd ke sahara de jata hai
tb dil ko wo sukoon ata hai 
lgta hai jiasa ab kuch zindagi me paane ko rha ni
un khushi ke palon me bhi
phr aa gye aankhon se ,ye chalakte aansoon......

akhir ye zindagi ki gadi,kb tk yun hi chal payegi 
ek din to is gadi ko to hi ruk jana hai 
q ki zindagi ke mukam me bhi, 
akri station b to ana hai
un palon me b jate jate,unki ankhon me 
lo phr aa gye ankhon se ye chalakte aansoon......

No comments:

Post a Comment