Wednesday, February 19, 2014

Jee Le Zara

zindagi bhi kabhi-kabhi ajab rang dikhlati hai
ek pal ansoon to ek pal hassen muskan de jati hai
agle pal hoga kya ,ye kaun janta hai
to dil khe jee le is palko khul ke zara....

jo hona tha so ho gya 
tu use ab kahan badal payega
jo khona tha wo kho gya 
wo ab laut k wapas na ayega
zindagii to bas chalte rehne ka naam hai
ruk, sun zara tera dil hai kuch keh rha 
jee le is pal ko khul k zara

koi kehta hai bekar hai ye zindagi
har pal musibat ka pahad hai ye zindagi
par wo kya jane ek pal patjhar
to ek pal vasant ki bahar hai ye zindagi
koi unko jake samjhaye ,khushiyon ki ek nai saugat hai ye zindagi
na gawa ek pal tu zara ,ye zindagi jeene ko kam pad jayegi
is liye mera dil mujhse keh rha 
jee le is pal ko khul k zara


abhi b tu ruka hai kyun
aa tham le mere haath ko
zindagi ke har tedhe medhe raaston pe
payega mujhko saath tu
rakh hausla , badha kadam 
sun tera dil fir chupke se keh rha
jee le is pal ko khul ke zara




No comments:

Post a Comment