Wednesday, February 19, 2014

Mera jaam

Door padi wo hai shishe me
kuch pal ko tu door hi reh
bahut lgaya tha tujhko apne se 
ab to  tu door hi reh.
chalak-2 kar kyu tu itrati hai 
hai kya tujhme jo, tu pal bhar me sbke ,sir chd jati hai 
la sathi ab bahut ho gya ,ho  jaye ek aur jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

pehle pehAL aisa na tha
jb aya tha imai is "viswavidyalaya"me
maths ke formule gungunate,jb takraya usse mai garden me
maths ke formulae bhool gya, bs hoton pe tha uska naam 
sessional ki sheet me bhi kamhaqt likh ke aya bhi to uska naam
hostel me jake  jb ulti topon ki huyi salaam 
tb sbne yad dilaya tera naam , yar aaj ka pyala ho jaye tere naam 
josh me hosh gawa baitha tha,ek pyala gale se sarka baitha tha 
ab sathi hona kya hai ,la pila de ek aur jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......


hona kya tha baki anzaam 
hua wahi jo hota hai ek aashiq ka anjaam
dil mera bhi toot gya,usko paise ne loot liya 
baki kya sunoge ishq ki dastan 
gum hai to kya ,jeena to phir bhi hai 
par jene ke liye ,pina bhi to is pal hi hai
bahut hua ye pyar ka naam ,la sathi phr pila de ek jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

pyar me pura time gawya
ab semester exam bhi hai sir chadh ke aya 
books kehna chahti hain kya koi to smjhao yaron
ye "torque equation" kya hoti hai ,koi to btlao yaaron
room partner tb aya,kehne lga"bahut ho gya aj ka kaam"
fail to hona hi hai ,ho ga kya is akhri raat me kaam
ab to raat ho jaye iske naam,la sathi phr pila de ek aur jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

akhir ye tuta dil kb tk yun phirta
phir ek roz kisi se nazre takra hi gyi 
bahut kha maine is dil ko "OYE RAAJU PYAAR NA KARIYO"
phr b ye mera dil jo aashiq thehra pehle wali ko bhul gya
tb jake maine ye jana,ye pyar sirf dhoka hai 
sacha hai bs mera "JAAM"
lo is baar nayi zindgi k liye hathon me uthaya hai ye jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

No comments:

Post a Comment