Wednesday, February 19, 2014

Gum Kam Nahin

hai kya mere dil mein
main tujhe kaise batlaun
har baat se teri ye zakhm 
gehre hote ja rhe hain
bas itna smajh le 
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......

din guzar jata hai 
un bete palon ko yaad karne mein
ek wahi to teri meri duniya hai
jo basa rakhi hai maine apne sapno mein
har waqt teri ye sehmi ankhein
mujhe bezaban karti hain
par tujh ko main kaise batlaun
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......

wade kiye the jo mujhse 
wo b ek pal mein tod diye
ek pal ko thama tha hanth 
aur dusre hi pal chod gye
phr b hai mere chehre pe muskan,ye sbhi sawal krte hain
ab mai unko kya kahun
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......

mil jate ho aj bhi tum kinhi rahon mein unke sath
us waqt bhi "tum kaise ho?" ye sawal karte ho
dil ye waise hi zakhmi kam tha 
jo zakhmon ko khredne ke liye ye sawal karte ho
par kar ke himmat mai ye sbko dikhlata hun
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......


No comments:

Post a Comment