Wednesday, February 19, 2014

Pyaar Ho Hi Gya


Silsiley ye ankh micholiyon ke ,mulakaton me kb badal gye
ye pta na chla
kb meri hansi ,tere labon pe simat gyi
ye pta na chla
teri ankhon me khoya ,ye din kb dhal gya
ye pta na chla…..

wo kehte hain ,ye waqt kbi rukta ni
par teri bahon me aa kr wo bhi tham gya
haathon  me haath,aankhon me aankhein
kuch na keh kr bhi,sb kuch keh jane wali teri wo aadtein
wo tumhari ghani zullfein,zinhe ye hawa b choo kr udane ko bekarar hai
tumhari hoton ki wo chaashni,jise har oss ki boond bighone ko tyar hai
aur hansi dekh  teri ,chaand chupne ko tyar hai ….

faisle har waqt dimag se leta tha mai
tujhko paya to jana ,ye dil bhi mere pas hai
dekhte-dekhte tum kb mere ho gye
ye pta na chla
ki ye saanson ki dor kb tujhse jud gyi
ye pta na chla….

                 

Rose Day Special For MY Rose


Your Smile

when u smile
u take me miles
and all the roses by the side feel shy

when u smile
i wanna stare ur face all day till night
and there's nothing more beautiful in the world least ur smile
there's no one i can trust upon
u were the best that i could ever found
the only thing i want is ur smile

when u smile
this world comes to life
coz of ur smile this heart is beating to stay alive
remember the day u cry
u would see me rarther be dying
so u better keep that smile
i don't want any thing in life
just wanna see u smile

when u smile
the stars in the sky shine
but they also seem to b fake before ur smile....
when u smile

Bs Teri Khushi

Aksar mera man ye socha krata hai
khud apne se ek sawal pucha krta hai
chata hai bas ek chiz
tu jahan bhi rhe bs khush reh....

hai ye duniya bahut badi
par dekhi hai maine bahut hi kam
meri duniya jo hoti hai "tumse shuru aur tumhi pe kahtm"
par tu jo mere pas nahin
to kehta hai ye dil mera
tu jiske sath bhi hai 
tu jahan bhi hai bs khush reh

ye man hai mera bada bawra
har pal sapne sajaya krta hai
un sapno ko main apne sine mein kar dafn
kehna chahta hun bs ek hi lafz
tu jahan bhi hai bs khush reh

dil to tumne ye tod diya hai
bas iske tukde abi bhi dhadakte hain
samet rha hun in tukdon ko main ankhon mein aksh le kar
fir bhi ye dil ek hi baat dohrata hai
tu jahan bhi hai bs khush reh

Teri Meri Yaari

har pal ho mere kandhe pe hanth tera
ladne marne ko bhi tu mere sath khada
ho nai ladki patani
ya phr purani  wali ki yaad bhulani
har pal deta hai tu sath mera
hai kuch-kuch aisi  teri meri yaari

jab- jab kuch smjh na aye
externals ko lekar fikar sataye
selected topics tu hi to mujhe batlaye
na ho is rishte me matlb ki koi baat 
hai kuch-kuch aisi  teri meri yaari

jab hota hun mai udas
jab ankhein yun  jharne si beh jati hain
tb tere hi to wo jokes the, jinpe hansi tb ati thi
chahe hon wo jokes nihayti bakwas sada
par na seh pata tha tu meri ankon me ansoon ek pal 
hai kuch-kuch aisi  teri meri yaari

chahe hum rhein na  har pal sath kbhi
par mere dil me tu rhega har pal sada
dosti kya hoti hai ye tune mujhe btlaya hai 
is word ka mtlb mujhe tujhse hi to smjh aya hai 
nai bayan kar pata mai teri dosti ko labzon me 
kambhkt labz hi har waqt kam pad jate hain 
hoti hai hindi ki dictionary har pal sath mere 
par teri yari ko bayan krne wale shabd usme b nai mil pate 
hai kuch-kuch aisi  teri meri yaari


Pehla Pyar

Waise  to  mera  dil  humesha  se  hi  dhadkta  tha...
par aj  na  jane  kyun  aisa  lge..
ye  dhaka  hai  pehli -pehli  bar.....
in  suni -suni  ankhon  mein....
kuch  pane  ki  raunak  jo  dekhi  hai  pehli  bar....

na  jane  kya  hai  ye.....
raaton  ko  ab  to  nind  na  aye ....
har  ek  minute  ek  arsa  sa  nazar  aye.... 
milne  ane  ki  uski  aas  mujhe  puri  raat  jagaye.....

na  jane  uski  hansi  me  aisi  kya  hai  baat.... 
jo  bhula  deti  hai  dil  mein  dabi   har  ek gum  ki baat....
hansti  hai  wo  to  sara  jahan  roshan  ho  jata  hai.....
par  rooth  jane  pr  ye  jahan   hell  se  baktar  ho  jata  hai...

na  jane  aisa  kyun  lgta  hai.... 
ab  uske  sivay  apna  koi  nahin...
par  drta  hai  ye  dil  kehne  se  kbhi -khbi...
shayad  mera  dil  pehli  baar dhadka hai. ....
are  koi  roko  mere  yaron  ise  pyar  hua  hai....

Meri Pehchan

hain is dil me kuch armaan hazar
pura karne ko jinko rehta hun mai bekarar
fir bhi mujhe aisa lgta hai q, ki ye zindagi hai meri khud ki nhin
gumnami ke andheron me chal rha hun mai 
apni pehchan dhund rha hun mai........ 

na jane kyun
ab mera saya mera nhi
in hanthon me bandhi ek zanzeer hai
jiski dor bhi meri nhi
kbhi ladkhadata kbhi girta
kbhi gir ke fir uthta
bs yun hi chl rha hun mai
apni pehchan dhund rha hun mai.......

the mere bhi sapne,jinhe ek roz udaan bharni thi
par hi kaat diye usne to koi kya kare
de di usne apne sapno ki chadi mere hanth me 
bs usi ke sahare chl rha hun mai
apni pehchan dhund rha hun mai....

hai yakeen mujhko ek din ye andhera tal jayega
manzilon ka suraj kbhi mujhpe bhi apni dhoop barsayega
hai mere dil me aas abhi 
jiske sahare chal rha hun mai
apni pehchan dhund rha hun mai.......

Meri Padosan

hote hi subah meri nazrein khidki ki taraf tik jati hain
dikh jaye uski jo ek jhalak,dil mein yhi aas reh jati hai
hai wo bahut sharmili
aankhein bhi uski kuch kam nhin nashili 
karti hai apni adaaon se ghayal wo mujhko har pal
aisi hai wo ldki jisne machayi hai in dino mere dil mein hulchul.... 

balcony jb mein wo jb- jb apni zulfein sukhati 
meri nazrein uski zulfon ki laton mein hi atak jati
dekh ke wo mujhko khud mein khoya
pal mein  meri ankhon se ojhal ho jati 
ab main khud hi na janu mujhe hua kya hai
bs pata hai to itna ye dil ab mere kaabu mein nai 
ab to ye hal hai...
nikalta hun mai ab roz is aas mein 
ki khin raah pe chalte-chalte ajaye ye dil uske paas mein....

terrace pe roz sham ko jana 
hai ab usse milne ka naya bahana 
sochta hun kisi bahane ankhon se  jo ankhein takrayein
tb ja ke dil ki baat zubaan pe aye
hai is dil mein pyar hi pyaar tere liye
par tera dil bhi kbhi mujhpe to aye
to baat ban jaye....


Mera jaam

Door padi wo hai shishe me
kuch pal ko tu door hi reh
bahut lgaya tha tujhko apne se 
ab to  tu door hi reh.
chalak-2 kar kyu tu itrati hai 
hai kya tujhme jo, tu pal bhar me sbke ,sir chd jati hai 
la sathi ab bahut ho gya ,ho  jaye ek aur jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

pehle pehAL aisa na tha
jb aya tha imai is "viswavidyalaya"me
maths ke formule gungunate,jb takraya usse mai garden me
maths ke formulae bhool gya, bs hoton pe tha uska naam 
sessional ki sheet me bhi kamhaqt likh ke aya bhi to uska naam
hostel me jake  jb ulti topon ki huyi salaam 
tb sbne yad dilaya tera naam , yar aaj ka pyala ho jaye tere naam 
josh me hosh gawa baitha tha,ek pyala gale se sarka baitha tha 
ab sathi hona kya hai ,la pila de ek aur jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......


hona kya tha baki anzaam 
hua wahi jo hota hai ek aashiq ka anjaam
dil mera bhi toot gya,usko paise ne loot liya 
baki kya sunoge ishq ki dastan 
gum hai to kya ,jeena to phir bhi hai 
par jene ke liye ,pina bhi to is pal hi hai
bahut hua ye pyar ka naam ,la sathi phr pila de ek jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

pyar me pura time gawya
ab semester exam bhi hai sir chadh ke aya 
books kehna chahti hain kya koi to smjhao yaron
ye "torque equation" kya hoti hai ,koi to btlao yaaron
room partner tb aya,kehne lga"bahut ho gya aj ka kaam"
fail to hona hi hai ,ho ga kya is akhri raat me kaam
ab to raat ho jaye iske naam,la sathi phr pila de ek aur jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

akhir ye tuta dil kb tk yun phirta
phir ek roz kisi se nazre takra hi gyi 
bahut kha maine is dil ko "OYE RAAJU PYAAR NA KARIYO"
phr b ye mera dil jo aashiq thehra pehle wali ko bhul gya
tb jake maine ye jana,ye pyar sirf dhoka hai 
sacha hai bs mera "JAAM"
lo is baar nayi zindgi k liye hathon me uthaya hai ye jaam
hosh me jeena bhaut ho gya ,ho jaye ek aur jaam......

Mai Akela Reh Gya

Hun main wahin jahan kal bhi tha..
paas nahin jo wo tum ho..
udaiyon ke saye mein khusi ki ek kiran bhi tum ho..
patjhar ke mausam mein suraj ki kiran bhi tum ho..
phir aaj meri zindagi ko tanha kyun kar gye ..
pucha th amaine ek sawal 
jispe tum chup ho gye..
in tanha rahon pe mujhe akela kyun chor gye...

Yun to har dil ko kisi ki talsh hoti hai..
har dil mein ek chipi si aas hoti hai..
paakar use, khush hota to bahut hai ye dil..
parr uske dur jane pe roya kyun hai ye dil 
din-raat bas tumse yahi baat hoti hai..
pucha th amaine ek sawal 
jispe tum chup ho gye ....
in tanha rahon pe mujhe akela kyun chor gye...

hasna to uski dhun mein tha..
laton mein uski sara jahan uljha tha...
nainon me uske main khoya rehta tha...
aaj bhi chalte- chalte kinhi rahon pe unse mulakat hoti hai...
pucha tha maine ek sawal 
jispe tum chup ho gye...
in tanha rahon pe mujhe akela kyun chor gye...

Kamini Duniya

Kaash hoti ye mere sapno ki duniya
na hote isme gu,hoti to bs khushiyan hi khushiyan
rehta dil mera masti me hardam
hota na ek pal ko ise tutne ka gum
par haqikat kuch aaur hi hai
badi kamini hai ye duniya......

kash hoti ye duniya ek samundar
aur mai hota ek kashti
jo na kabhi dubti ,bs lehron se baate karti
ye fizayen tb har pal mujhe hone ka ehsas karati
hai ye mere sapno ki duniya ,chupke se ye mere kaano mein ye keh jati
par ankhein khulte hi sari kahani badal gyi 
ab mera dil bhi hai mujhse keh rha
badi kamini hai ye duniya......


nahin kholna chahtaain apni palkein ek pal ko
jeena chahta hun mai apni duniya mein har pal ko
hota hai jinpe khud se zyada bharosa yahan
wahi dil par pair rkh ke chale jate hain
jis dil ko kuch din pehle apna kehte the
use ab yun hi thokar mar ke paraya kr jate hain
hai meri majboori ,jeena bhi to hai zaroori
ye soch ke hai maine apni ankhein kholi
aage bhi chalti rhe gi ye sapno se aankh-micholi
par sach ab bhi nai badla 
badi kamini hai ye duniya......
ha ha ha


Jee Le Zara

zindagi bhi kabhi-kabhi ajab rang dikhlati hai
ek pal ansoon to ek pal hassen muskan de jati hai
agle pal hoga kya ,ye kaun janta hai
to dil khe jee le is palko khul ke zara....

jo hona tha so ho gya 
tu use ab kahan badal payega
jo khona tha wo kho gya 
wo ab laut k wapas na ayega
zindagii to bas chalte rehne ka naam hai
ruk, sun zara tera dil hai kuch keh rha 
jee le is pal ko khul k zara

koi kehta hai bekar hai ye zindagi
har pal musibat ka pahad hai ye zindagi
par wo kya jane ek pal patjhar
to ek pal vasant ki bahar hai ye zindagi
koi unko jake samjhaye ,khushiyon ki ek nai saugat hai ye zindagi
na gawa ek pal tu zara ,ye zindagi jeene ko kam pad jayegi
is liye mera dil mujhse keh rha 
jee le is pal ko khul k zara


abhi b tu ruka hai kyun
aa tham le mere haath ko
zindagi ke har tedhe medhe raaston pe
payega mujhko saath tu
rakh hausla , badha kadam 
sun tera dil fir chupke se keh rha
jee le is pal ko khul ke zara




Mera Dost

ho tum jo saath mere
to jeena acha lgta hai
har pal ,har din warna
suna-suna lgta hai
har gum ,har khushi tum sang jene ka man karta hai
akhir tum jaisa dost duniya mein roz-roz kahan milta hai....

ho tum ek masum kali
uspe bhi tumhari gulab si hansi
dekhta hun jb tumhe kbhi
khuda ki karigari pe naaz hota hai
ho tum ek pari ,ye har pal  kehne ko dil karta hai
akhir tum jaisa dost duniya mein roz-roz kahan milta hai..........

kbhi-kbhi dhalti shamon mein mil jati ho tum
dekh kar hume halke se muskurati ho tum
man karta to bahut hai "HI" kehne ka
par dar rehta hai bike unbalance hone ka
soch kar ye mera dil ,jawab mein bhi tumhe ek muskan deta hai
akhir tum jaisa dost duniya mein roz-roz kahan milta hai.........

hai contact ka koi zariya nahin
facebook pe hi chalti hain humari baatein
ho jati hai kbhi kahin mulakat bhi to 
kahani bayan karti hain meri ankhein
rkhta hun tumhari pasand-napasand ka dhyan har pal
phr b na jane kyun milne ko bekarar nahin hota tumhara ye man
phir bhi ye jan kar,  khush hota hai mera dil
kyunki dushman to lakhon mil jate hain roz-roz
par tum jaisa dost duniya mein roz-roz kahan milta hai.....


Gum Kam Nahin

hai kya mere dil mein
main tujhe kaise batlaun
har baat se teri ye zakhm 
gehre hote ja rhe hain
bas itna smajh le 
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......

din guzar jata hai 
un bete palon ko yaad karne mein
ek wahi to teri meri duniya hai
jo basa rakhi hai maine apne sapno mein
har waqt teri ye sehmi ankhein
mujhe bezaban karti hain
par tujh ko main kaise batlaun
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......

wade kiye the jo mujhse 
wo b ek pal mein tod diye
ek pal ko thama tha hanth 
aur dusre hi pal chod gye
phr b hai mere chehre pe muskan,ye sbhi sawal krte hain
ab mai unko kya kahun
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......

mil jate ho aj bhi tum kinhi rahon mein unke sath
us waqt bhi "tum kaise ho?" ye sawal karte ho
dil ye waise hi zakhmi kam tha 
jo zakhmon ko khredne ke liye ye sawal karte ho
par kar ke himmat mai ye sbko dikhlata hun
hai chehre pe muskan mere
par har ek pal gum ke ghunt piye ja rha hun
jiye ja rhe hun......


Lgta hai jaise ,Wo kal ki hi baat hai ...

lgta hai jaise wo kal ki hi baat hai
wo class room ,wo dost ab bhi mere sath hain
wo teachers ko satana aur class bunk kr ke playground jana
wo sardar ko call kar ke samose mangana
aur O.P ki class me unhe kha ke so jana
han sb yad hai mujhe
lgta hai jaise wo kal ki hi baat hai....

wo waqt hi kuch ajeeb tha
ek naya naya sa junoon tha
pane ko uski ek jhalak k liye
wo din bhar ghumna yaad hai
wo tutions to sirf bahna tha
akhir roz unse milne jo jana tha
yaad hai wo table ke niche uske haathon ko pakdna
wo pairon se ldna
aur phr nazron se hi baatein karna
sb yaad hai mujhe
lgta hai jaise wo kal ki hi baat hai....

ab wo daur sirf meri yaadon me hi hai
wo waqt, wo pal, wo din bahut khas the
par na jane kyun tb iska mujhe ehsas na tha
par aaj whi lamhe mere dil k sbse pas hain
soch kar ye baatein aj bhi meri ankhein num ho jati hain
un ansuon se bhi un dino ko khushbu ati hai
lgta hai jaise wo kal ki hi baat hai....

Luv on facebook

Ye technology ka hai zamana...
facebook hai ab ishq ladane ka naya thikana...
jane kahan wo din gye jb unki ek jhalak ko...
lakhon papad bele the ...
aur ab dekho jb chahe webcam pe darshan mil jate hain...

gyi bhaad mein wo sari  purani ladki patane ki tarkibein...
ab hai ye ladki patane ka new style..
do-chaar english me line chipkai...
aur usko apne dil ki baat sunai...
kya ye bhi koi pyar hai... 

nazron me uski jo kamal hai...
wo smilies ki nazron me kahan....
haste huye uske hoton ko jo dekhne mein maza hai.... 
wo us cartoon smilies ke fate huye hoton mein kahan....

hai jo samne se pyar krne ka maza wo computer screen ke piche kahan ....
sach keh gya hai shakespeare "lov is full of poetry and romance"....
ye sunkar mere man mein ek baat ayi..
dekho mujhe b apni poetry tb yaad ayi... 
jab pyar ne mere dil ki ghanti bajayi...

so ab yhi hai mera kehna ...
pyar bina ky jeena ...
aur facebook bina.......god knows.... 



Daamini ...

khoon ke ansoon ro rhi hun mai
kuch dari kuch sehmi hun mai
huyi jo haivaniyat mere santh hai
bas usi ki cheekhein gunj rhi hai ye.....

is desh ko kehte hai sone ki chidiya sbhi
mai bhi to iski choti si chidiya hun
kyun tum mujhpe ye pal-pal apni baton ke pathar barsate ho
mujh masoom pe tum kyun is kadar keher barsate ho
fir lahu- luhan karke is dharti pe patak jate ho
ata ye ek pal ko mujhko samjh nai
aisa kar ke tum kaise jee pate ho......

bhul gye kya tum sb
jis maa ne tumko  jeevan diya
wo bhi to ek  naari hai
meri khamoshi ko smjha tumne meri kamzori hai
ab jo ye desh keh rha wo meri tuti khamoshi hai.....

maine ki is zindagi se bahut ladai
par mai ye jung har gyi
thi hantho me jo zindagi ki dor kbhi
wo hi hanthon se fisal gyi
par hai mujhko ye vishwas abhi
ayegi ek subah nayi
ud sakungi mai apne paron ko khol  nile akash me
hai jo ye desh keh rha wo meri awaj hai
sudhrega ye samaj aisa mera vishwas hai.......

Chalakte Aansoon

kabhi khushi me 
to kabhi gum me
zindagi ke is tedhe medhe pal me
niklti hai mere dil ki aarzoo
lo phr aa gye aankhon se,ye chalakte aansoon......

jb kbi andheron me mujhe dar satata hai 
tb maa tera anchal hi yaad ata hai 
na paake apne paas tujhe 
chalak jatein hain meri aankhon se ye aansoon......

pehle pehal pyar me
jb lgta hai har pal nya 
jb hota hai ye dil khush mera 
un palon k baad jb ye bewafai apna rang dikhlati hai hai 
hota hai dard dil me ,aur aansuon ki ek nadi si beh jati hai
rokne ki koshish b bahut ki thi maine 
par lo phr aa gye aankhon se ye chalakte aansoon......

ek pal wo b ata hai 
jb band baje sath hote hai 
tb barbadi me meri puri duniya jashn manati hai 
kyun ki agle din se ,gulami ki zanzeere in jo pairon me aa jati hain
zindagi me lgta hai jaise kuch ab rha ni 
is baar apni barbadi pe thoda hans kr  
phr aa gye aankhon se,ye chalakte aansoon...... 

ye waqt kisi ki sunta nhi 
aage hi badhta jata hai 
jb choti si  jaan ek din aftaab se nikal  k ati hai
hanthon me leke usko mai,cine se use lgata hun 
us pal hoti hai jo khushi,use  bayan kar mai pata ni 
phr aa gye aankhon se, ye chalakte aansoon......

ek din aisa b ata hai 
jb chlna b mere bs me reh ni jata hai
un palon me, jb wo mera hanth pkd ke sahara de jata hai
tb dil ko wo sukoon ata hai 
lgta hai jiasa ab kuch zindagi me paane ko rha ni
un khushi ke palon me bhi
phr aa gye aankhon se ,ye chalakte aansoon......

akhir ye zindagi ki gadi,kb tk yun hi chal payegi 
ek din to is gadi ko to hi ruk jana hai 
q ki zindagi ke mukam me bhi, 
akri station b to ana hai
un palon me b jate jate,unki ankhon me 
lo phr aa gye ankhon se ye chalakte aansoon......

Bete Palon Ki Wo YAADEIN..

Ankhon  mein  ek  sapna  leke  chal  rha  hun  main.......
hai  dur- dur  tak  tanhai....
lagta  hai  jaise  waqt  ne  li ho  jaise  angdai.....
hun  zina  ab  bhi  mai....
ye  mere  dil  ki  dhadkane  mujhe  btati  hain......
bete  lamhon  ki  yadein  akhir dil  mein  kyun  reh  jati  hain......

doob  jana  chahta  hun  main  is  pal  mein ......
par ye  pal  bhi  mujhe  nakarte  hain......
ansoon  hi  ab  mere  sathi  hain .....
har  waqt  meri  ankhon  se  jo  beh  jate  hain.......
gila mujhko is baat ka b nai, bas dukh hai to is baat ka...
bete  lamhon  ki  yadein  akhir  dil  mein  kyun  reh  jati  hain......

ab  na  girunga  main.....
phr  uth  ke  rhunga main......
dil  pe  zakhm  hain  phr  b......
has  kr sahunga  main......
kambakht  ye  ansoon  bhi  aye  to .....
inhe  ponch  dalunga.....
hansi  ke  is  naqab  ke  piche.....
main  zindagi  ka  har  zakhm  chipaunga....
kyun  ki  zakhm  to  bhar  jaya  krte  hain  par.....
bete  lamhon  ki  yadein  akhir  dil  mein  kyun  reh  jati  hain....